Meri zindagi pe na muskura, mujhe zindagi ka ilam naheen
Jissay tere ghum se ho waasta woh khizaan bahar se kamm naheen
Mujhe raas aayain kuda karray yeh ashtaba ki sa'atain
Inhain aitabaar-e-wafa tau hay mujhe aitabaar-e-sitam naheen
Wohi karwaan,wohi raastay, wohi manzelain, wohi marhalay
Magar apnay apnay maqam per kabhi tum naheen,kabhi hum naheen
Na woh shan-e-jabr-eshabab hay, na woh rang-e-qehr-e-ataab hay
Dil-e-beqarar pe in dinoon hay yehi sitam k sitam naheen
Na fana meri, na baqa meri, mujhe Ae Shakeel na dhoondhiye
Main kisi ka husn-e-khayal hoon mera kuch wujood-e-adam naheen
Subscribe to:
Posts (Atom)
